Metaverse Kya Hai

Aapne universe suna hoga, aapne multiverse suna hoga aur shayad kuch dino pehle aapne metaverse bhi suna hoga. Isko samajhna thoda mushkil hai lekin mai koshish karunga aapko samjhane ki.

Aapko pata hi hai ki internet kafi purana ho chuka hai. Technology ki duniya me jab koi bhi chij purani ho jati hai to uska updated version aata hai. To kya internet ka bhi koi updated version aayega? Kya koi aisi chij aayegi jo internet ko bhi replace kar degi?

Mark Zuckerberg ka kehna hai ki Metaverse internet ka future hai. To aakhir ye metaverse kya hai?

Metaverse kya hai?

Metaverse ek aisi chij hai jo puri duniya ko cover kar legi. Meraverse koi physical chij nahi hai jaise ki VR Experience (Virtual Reality Experience). Aise real world game jaise ki roblox, fortnight, animal crossing sath hi crypto ki duniya. Ek alag virtual duniya se sabhi chije mil kar ek metaverse ka nirman karte hai.

Aasan bhasha me agar kahe to digital duniya, ek aisi duniya jo asal duniya se kafi alag hai jaha par virtual reality chalti hai. Is duniya ko VR Headset ki madad se hi dekha ja sakta hai. Crypto me ja kar experience kiya ja sakta hai aur aise multiplayer online games ko khel kar experience kiya ja sakta hai.

Aaj bhi kafi aise log hai jo is duniya me jee rahe hai. Jo bhi online games hai jaise fortnight, BGMI, PUBG ko khelte hai to unko lagta hai ki wo ek metaverse me hai. Jo ki ek alag duniya hai jo asal duniya se kafi alag hai. Waha par alag hi dost ban rahe hai jo ki real nahi hai. aap jo bhi khelte hain BGMI/PUBG/Fortnight ye koi asal duniya nahi hai, ye ek imagination ki duniya hai.

Agar aao BGMI game khelte hai to aapko shuruaat me bataya jata hai ki welcome to virtual world. Yahi virtual world jaisi bohot saari chije mil kar ek metaverse ka nirman karti hai.

Leave a Reply